na socha ye bhi qatil ne ki us bewa ka kya hoga
na sochā ye bhī qātil ne ki us beva kā kyā hogā
jise ye aas thī ik din mirā beTā baḌā hogā
agarche dekhne meñ mere qad se baḌh gayā hogā
mirā saaya magar mere hī qadmoñ par girā hogā
chalo chal kar javānī kī kuñvārī laash par ro leñ
kisī muflis kī beTī kā janāza uTh rahā hogā
salīboñ ke safar meñ hai tabassum jis ke hoñToñ par
vo insāñ intihā-e-ġham se pāgal ho chukā hogā
vo ho saktā hai qātil kab yaqīñ aa.egā logoñ ko
hamārā ḳhuun us ke haath meñ rang-e-hinā hogā
maiñ jismoñ kī numā.ish-gāh meñ kyā dekhne jā.ūñ
ki us ne har badan par apnā chehra rakh diyā hogā
bahut hassās thā ik shaḳhs jis ne ḳhud-kushī kar lī
kisī aḳhbār meñ shāyad ye tum ne bhī paḌhā hogā
guzārī pattharoñ ke shahr meñ kyoñ zindagī us ne
ye socho kis qadar majbūr āḳhir aa.ina hogā
diye rakhte chalo ai 'badr' palkoñ kī muñDeroñ par
añdherī raat meñ āñkhoñ kā darvāza khulā hogā
na socha ye bhi qatil ne ki us bewa ka kya hoga
jise ye aas thi ek din mera beTa baDa hoga
agarche dekhne mein mere qad se baDh gaya hoga
mera saya magar mere hi qadmon par gira hoga
chalo chal kar jawani ki kunwari lash par ro len
kisi muflis ki beTi ka janaza uTh raha hoga
salibon ke safar mein hai tabassum jis ke honTon par
wo insan intiha-e-gham se pagal ho chuka hoga
wo ho sakta hai qatil kab yaqin aaega logon ko
hamara KHun us ke hath mein rang-e-hina hoga
main jismon ki numaish-gah mein kya dekhne jaun
ki us ne har badan par apna chehra rakh diya hoga
bahut hassas tha ek shaKHs jis ne KHud-kushi kar li
kisi aKHbar mein shayad ye tum ne bhi paDha hoga
guzari pattharon ke shahr mein kyon zindagi us ne
ye socho kis qadar majbur aaKHir aaina hoga
diye rakhte chalo ai 'badr' palkon ki munDeron par
andheri raat mein aankhon ka darwaza khula hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.