na sune jab koi fariyaad to fariyaad na kar
na sune jab koī fariyād to fariyād na kar
izzat-e-nafs baḌī chiiz hai barbād na kar
shikva-e-jaur-o-taġhāful dil-e-nāshād na kar
vo tujhe bhuul gayā tū bhī use yaad na kar
dam nikaltā hai nikal jaa.e balā se bulbul
āshiyāne ke liye minnat-e-sayyād na kar
khīñch kar muñh se zabāñ toḌ ke donoñ baazū
yuuñ to sayyād giraftār ko āzād na kar
ham vafā-kesh vafādār raheñge lekin
ai jafā-kosh jafā kar magar ījād na kar
bāġhbāñ kaash kahe fasl-e-ḳhizāñ se itnā
daulat-e-husn-e-ḳhudā-dād ko barbād na kar
aap ke ḳhauf haiñ be-laus haiñ jab banda-navāz
phir ye kyoñ kahte haiñ 'shāġhil' se ki fariyād na kar
na sune jab koi fariyaad to fariyaad na kar
izzat-e-nafs baDi chiz hai barbaad na kar
shikwa-e-jaur-o-taghaful dil-e-nashad na kar
wo tujhe bhul gaya tu bhi use yaad na kar
dam nikalta hai nikal jae bala se bulbul
aashiyane ke liye minnat-e-sayyaad na kar
khinch kar munh se zaban toD ke donon bazu
yun to sayyaad giraftar ko aazad na kar
hum wafa-kesh wafadar rahenge lekin
ai jafa-kosh jafa kar magar ijad na kar
baghban kash kahe fasl-e-KHizan se itna
daulat-e-husn-e-KHuda-dad ko barbaad na kar
aap ke KHauf hain be-laus hain jab banda-nawaz
phir ye kyon kahte hain 'shaghil' se ki fariyaad na kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.