na tare afshan na kahkashan hai namuna hansti hui jabin ka
na tare afshan na kahkashan hai namuna hansti hui jabin ka
Riyaz Khairabadi
MORE BYRiyaz Khairabadi
na taare afshāñ na kahkashāñ hai namūna hañstī huī jabīñ kā
khulā hai parcham gaḌā hai jhanDā falak par us āh-e-ātishīñ kā
rahe haiñ ghul-mil ke kaise donoñ ye ek haiñ dil ke kaise donoñ
chhuTā jo ham se kisī kā dāman to saath hai ashk-o-ātshīñ kā
jo ek ho to ham us ko ro.eñ hue haiñ dushman badan ke ro.eñ
hameñ to har tār-e-āstīñ par gumān hai mār-e-āstīñ kā
jo rañg un kā badal chalā hai to shauq ab hai na valvala hai
bahut hī nāzuk muāmla hai visāl-e-ma.ashūq-e-nāznīñ kā
chaḌhī hai kachche ghaḌe kī aisī bañdhī hai ye dhun hameñ bhī saaqī
chakhā.eñ vaa.iz ko aaj ham bhī zarā mazā shahad-o-añgbīñ kā
tumhāre inkār ne chubho.e hamāre dil meñ hazāroñ nashtar
tum aise nāzuk ki naqsh ban kar rahā laboñ par nishāñ nahīñ kā
jo chhīñTeñ uḌ kar paḌīñ ḳhudāyā vo aur mahshar kareñgī barpā
hai merī gardan par aur ulTā ye ḳhuun qātil kī āstīñ kā
kalī na dāman kī muskurā.e na āstīñ terī gul khilā.e
maiñ sadqe qātil na rañg laa.e ye ḳhuun dāman kā āstīñ kā
'riyāz' ma.ashūq-e-māh-paikar koī na koī hai jalva-gustar
ki shaam aa.ī hai jo mire ghar vo chāñd laa.ī hai chaudhvīñ kā
na tare afshan na kahkashan hai namuna hansti hui jabin ka
khula hai parcham gaDa hai jhanDa falak par us aah-e-atishin ka
rahe hain ghul-mil ke kaise donon ye ek hain dil ke kaise donon
chhuTa jo hum se kisi ka daman to sath hai ashk-o-atshin ka
jo ek ho to hum us ko roen hue hain dushman badan ke roen
hamein to har tar-e-astin par guman hai mar-e-astin ka
jo rang un ka badal chala hai to shauq ab hai na walwala hai
bahut hi nazuk muamla hai visal-e-mashuq-e-naznin ka
chaDhi hai kachche ghaDe ki aisi bandhi hai ye dhun hamein bhi saqi
chakhaen waiz ko aaj hum bhi zara maza shahad-o-angbin ka
tumhaare inkar ne chubhoe hamare dil mein hazaron nashtar
tum aise nazuk ki naqsh ban kar raha labon par nishan nahin ka
jo chhinTen uD kar paDin KHudaya wo aur mahshar karengi barpa
hai meri gardan par aur ulTa ye KHun qatil ki aastin ka
kali na daman ki muskurae na aastin teri gul khilae
main sadqe qatil na rang lae ye KHun daman ka aastin ka
'riyaz' mashuq-e-mah-paikar koi na koi hai jalwa-gustar
ki sham aai hai jo mere ghar wo chand lai hai chaudhwin ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.