na tahriri shawahid na zabani
na tahrīrī shavāhid na zabānī
bhalā kis kaam kī aisī javānī
ye jitnī ne.amateñ dī haiñ ḳhudā ne
ye parcha hai hamārā imtihānī
kabhī vo bhī the is duniyā kī raunaq
vo sab jo ho ga.e haiñ āñ-jahānī
hameñ thā ishtiyāq-e-vasl lekin
hamāre shauq se un ko girānī
ye kyā zehnoñ pe karte ho hukūmat
karo dil par kisī ke hukmarānī
udhar kirdār par taarī kuhūlat
magar bātoñ meñ shiddat kī ravānī
mohabbat pesh-qadmī chāhtī hai
kabhī tum bhī mire ghar aao jaanī
muqābil fauj tūfānoñ kī 'āqib'
idhar kashtī hamārī bādbānī
na tahriri shawahid na zabani
bhala kis kaam ki aisi jawani
ye jitni neamaten di hain KHuda ne
ye parcha hai hamara imtihani
kabhi wo bhi the is duniya ki raunaq
wo sab jo ho gae hain aan-jahani
hamein tha ishtiyaq-e-wasl lekin
hamare shauq se un ko girani
ye kya zehnon pe karte ho hukumat
karo dil par kisi ke hukmarani
udhar kirdar par tari kuhulat
magar baaton mein shiddat ki rawani
mohabbat pesh-qadmi chahti hai
kabhi tum bhi mere ghar aao jaani
muqabil fauj tufanon ki 'aqib'
idhar kashti hamari baadbani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.