na talafiyan hi mangen na wafa na pyar mangen
na talāfiyāñ hī māñgeñ na vafā na pyaar māñgeñ
chalo aaj us se khoyā huā e'tibār māñgeñ
tire shahr meñ hamesha yahī qillateñ sahī haiñ
kabhī us se tauq māñgeñ kabhī us se daad māñgeñ
tire ahd meñ na jiinā tire ahd meñ na marnā
hameñ iḳhtiyār ho to koī iḳhtiyār māñgeñ
tirī be-ruḳhī ke sadqe tirī be-ruḳhī nahīñ hai
yahī to hai vo adā jo tire jāñ-nisār māñgeñ
kahīñ yuuñ na ho ki kal ham ġham-e-yār se bhī jaa.eñ
chalo aa rahī rutoñ se vahī intizār māñgeñ
na talafiyan hi mangen na wafa na pyar mangen
chalo aaj us se khoya hua e'tibar mangen
tere shahr mein hamesha yahi qillaten sahi hain
kabhi us se tauq mangen kabhi us se dad mangen
tere ahd mein na jina tere ahd mein na marna
hamein iKHtiyar ho to koi iKHtiyar mangen
teri be-ruKHi ke sadqe teri be-ruKHi nahin hai
yahi to hai wo ada jo tere jaan-nisar mangen
kahin yun na ho ki kal hum gham-e-yar se bhi jaen
chalo aa rahi ruton se wahi intizar mangen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.