na tan mein ustuKHwan ne rag rahi hai
na tan mein ustuKHwan ne rag rahi hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
MORE BYShaikh Zahuruddin Hatim
na tan meñ ustuḳhvān ne rag rahī hai
laboñ par kyūñki jaan ab lag rahī hai
hameñ pūchho to hastī se adam tak
masāfat kyā hai haañ yak Dag rahī hai
tumhārī yaad meñ ai sho.ala-ḳhūbāñ
zabān-e-sham.a par lau lag rahī hai
hameñ yak umr se kūche meñ us ke
talāsh-e-pā-e-bos-e-sag rahī hai
na jā us kī taraf tū aaj 'hātim'
vahāñ shamshīr-e-abrū bag rahī hai
na tan mein ustuKHwan ne rag rahi hai
labon par kyunki jaan ab lag rahi hai
hamein puchho to hasti se adam tak
masafat kya hai han yak Dag rahi hai
tumhaari yaad mein ai shoala-KHuban
zaban-e-shama par lau lag rahi hai
hamein yak umr se kuche mein us ke
talash-e-pa-e-bos-e-sag rahi hai
na ja us ki taraf tu aaj 'hatim'
wahan shamshir-e-abru bag rahi hai
- Book : Diwan-e-Zadah (Pg. 294)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.