na tanha main hi dam bharta hun teri aashnai ka
na tanhā maiñ hī dam bhartā huuñ terī āshnā.ī kā
jahāñ meñ shor hai ai shoḳh terī dilrubā.ī kā
jabīn-e-mehr-o-mah meñ kyā sabab itnī safā.ī kā
unheñ bhī shuġhl hai kyā tere dar par jab.ha-sā.ī kā
lahū kī naddiyāñ ayyām-e-furqat meñ bahātā huuñ
ḳhayāl aatā hai jab mujh ko tire dast-e-hinā.ī kā
vafā kī ho kisī ko tujh se kyā ummīd o zālim
ki ik aalam hai kushta terī tarz-e-bevafā.ī kā
yahī rah rah ke aatā hai hamāre dil meñ ai 'ājiz'
hasīnoñ ke daroñ par kījiye pesha gadā.ī kā
na tanha main hi dam bharta hun teri aashnai ka
jahan mein shor hai ai shoKH teri dilrubai ka
jabin-e-mehr-o-mah mein kya sabab itni safai ka
unhen bhi shughl hai kya tere dar par jabha-sai ka
lahu ki naddiyan ayyam-e-furqat mein bahata hun
KHayal aata hai jab mujh ko tere dast-e-hinai ka
wafa ki ho kisi ko tujh se kya ummid o zalim
ki ek aalam hai kushta teri tarz-e-bewafai ka
yahi rah rah ke aata hai hamare dil mein ai 'ajiz'
hasinon ke daron par kijiye pesha gadai ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.