Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na teri shakl se waqif na teri bas se log

Balraj Hairat

na teri shakl se waqif na teri bas se log

Balraj Hairat

MORE BYBalraj Hairat

    na terī shakl se vāqif na terī baas se log

    shanāḳht kaise kareñge tujhe qayās se log

    kise ḳhabar thī ki rāheñ qadam jakaḌ leñgī

    chale the tere tajassus meñ kitnī aas se log

    na koī tuf Tahokā na tanz ke patthar

    takā kiye mujhe kyoñ aaj bad-havās se log

    ye ghar bhī merā hai is tamām chīzeñ bhī

    har ek goshe meñ lekin ye nā-shanās se log

    sunā ye hai ki payambar haiñ daur-e-zarrīñ ke

    dhuāñ dhuāñ ye māhaul udaas udaas se log

    na jaane bo'd ne kyā kyā banā diyā thā unheñ

    mirā 'aks the dekhe jo maiñ ne paas se log

    hazārhā mah-o-ḳhurshīd haath pakḌeñge

    bhaTak na jaa.eñ ḳhalā meñ ye bad-havās se log

    ḳhud āgahī inheñ aisā banā ga.ī varna

    the nā-shanās na 'hairat' ye nā-shanās se log

    na teri shakl se waqif na teri bas se log

    shanaKHt kaise karenge tujhe qayas se log

    kise KHabar thi ki rahen qadam jakaD lengi

    chale the tere tajassus mein kitni aas se log

    na koi tuf ka Tahoka na tanz ke patthar

    taka kiye mujhe kyon aaj bad-hawas se log

    ye ghar bhi mera hai is ki tamam chizen bhi

    har ek goshe mein lekin ye na-shanas se log

    suna ye hai ki payambar hain daur-e-zarrin ke

    dhuan dhuan sa ye mahaul udas udas se log

    na jaane bo'd ne kya kya bana diya tha unhen

    mera hi 'aks the dekhe jo main ne pas se log

    hazarha mah-o-KHurshid hath pakDenge

    bhaTak na jaen KHala mein ye bad-hawas se log

    KHud aagahi inhen aisa bana gai warna

    the na-shanas na 'hairat' ye na-shanas se log

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now