na thi did ki mujhko tab awwal awwal
na thī diid kī mujh ko taab avval avval
ġhazab thā kisī kā shabāb avval avval
kise tāb-e-nazzāra apne sivā thī
hue the vo jab be-naqāb avval avval
hameñ sab ne rāh-e-mohabbat meñ chhoḌā
jo the ham-safar ham-rikāb avval avval
muqaddar usī kā hai qismat usī kī
jo ho ishq meñ kāmyāb avval avval
ye qismat hamārī hai ai māh-e-ḳhūbī
hue diid se faizyāb avval avval
'zuhūr' aa.e duniyā meñ jab mulk-e-jāñ se
rahe ḳhuub ḳhāna-ḳharāb avval avval
na thi did ki mujh ko tab awwal awwal
ghazab tha kisi ka shabab awwal awwal
kise tab-e-nazzara apne siwa thi
hue the wo jab be-naqab awwal awwal
hamein sab ne rah-e-mohabbat mein chhoDa
jo the ham-safar ham-rikab awwal awwal
muqaddar usi ka hai qismat usi ki
jo ho ishq mein kaamyab awwal awwal
ye qismat hamari hai ai mah-e-KHubi
hue did se faizyab awwal awwal
'zuhur' aae duniya mein jab mulk-e-jaan se
rahe KHub KHana-KHarab awwal awwal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.