na to dosti na to dushmani nahi dil mein koi ghubar hai
na to dostī na to dushmanī nahī dil meñ koī ġhubār hai
vo ġhazab ke tiir kidhar ke the ki tamām sīna-figār hai
na shafaq kā rang na bū-e-gul na faroġh-e-sub.h-e-bahār hai
tire rang-o-rūp kā sehr hai jo fazāoñ meñ ye nikhār hai
jo nazar meñ aaya chamak gayā jise chhū liyā vo mahak gayā
yahī tarz-e-husn-e-ḳhisāl hai jo zamāna us pe nisār hai
koī gard-e-rāh-e-butāñ banā koī rashk-e-hūr-e-jināñ banā
koī shāhkār-e-jahāñ banā yahī ek musht-e-ġhubār hai
jo ziyā-fashāñ hai nazar nazar vo kahāñ mile ye nahīñ ḳhabar
mire dil meñ hai vahī sar-basar na to barq hai na sharār hai
vo ghuTan hai aaj fazāoñ meñ ki sharāb meñ bhī mazā nahīñ
na guloñ pe rang-e-shabāb hai na to naġhma-zan vo hazār hai
mire ishq kī haiñ karāmateñ ki huī haiñ terī navāzisheñ
tirī zulf kī sī mahak liye mire gird kaisā hisār hai
na qiyām meñ na sujūd meñ na to lutf jām-o-surūd meñ
ye hai zindagī koī zindagī na to qaid hai na farār hai
vo junūn-e-ishq hai mo'atabar jo tapā ho lail-o-nahār kā
na talāsh ho kisī chhāñv kī na sukūñ meñ us ko qarār hai
ġham-e-zindagī kahāñ sab milā yahī māniye ki vo kam milā
ki 'nazīr' qaid-e-hayāt meñ kahāñ ranj-o-ġham kā shumār hai
na to dosti na to dushmani nahi dil mein koi ghubar hai
wo ghazab ke tir kidhar ke the ki tamam sina-figar hai
na shafaq ka rang na bu-e-gul na farogh-e-subh-e-bahaar hai
tere rang-o-rup ka sehr hai jo fazaon mein ye nikhaar hai
jo nazar mein aaya chamak gaya jise chhu liya wo mahak gaya
yahi tarz-e-husn-e-KHisal hai jo zamana us pe nisar hai
koi gard-e-rah-e-butan bana koi rashk-e-hur-e-jinan bana
koi shahkar-e-jahan bana yahi ek musht-e-ghubar hai
jo ziya-fashan hai nazar nazar wo kahan mile ye nahin KHabar
mere dil mein hai wahi sar-basar na to barq hai na sharar hai
wo ghuTan hai aaj fazaon mein ki sharab mein bhi maza nahin
na gulon pe rang-e-shabab hai na to naghma-zan wo hazar hai
mere ishq ki hain karamaten ki hui hain teri nawazishen
teri zulf ki si mahak liye mere gird kaisa hisar hai
na qiyam mein na sujud mein na to lutf jam-o-surud mein
ye hai zindagi koi zindagi na to qaid hai na farar hai
wo junun-e-ishq hai mo'atabar jo tapa ho lail-o-nahaar ka
na talash ho kisi chhanw ki na sukun mein us ko qarar hai
gham-e-zindagi kahan sab mila yahi maniye ki wo kam mila
ki 'nazir' qaid-e-hayat mein kahan ranj-o-gham ka shumar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.