na to kaamil na hi tamir mein hain
na to kāmil na hī tā'mīr meñ haiñ
mire kuchh ḳhvāb abhī zanjīr meñ haiñ
abhī kuchh mashq baaqī hai musavvir
abhī kuchh ḳhāmiyāñ tasvīr meñ haiñ
tirī zulfoñ meñ jitne ḳham haiñ un se
ziyāda to mirī taqdīr meñ haiñ
vasiyyat meñ batāo kyā likhūñ maiñ
faqat kuchh tajrabe jāgīr meñ haiñ
qavāfī ziist ke nibhne na deñge
jo nuqte baḳht kī tahrīr meñ haiñ
na to kaamil na hi ta'mir mein hain
mere kuchh KHwab abhi zanjir mein hain
abhi kuchh mashq baqi hai musawwir
abhi kuchh KHamiyan taswir mein hain
teri zulfon mein jitne KHam hain un se
ziyaada to meri taqdir mein hain
wasiyyat mein batao kya likhun main
faqat kuchh tajrabe jagir mein hain
qawafi zist ke nibhne na denge
jo nuqte baKHt ki tahrir mein hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.