na to usko hairat hai na mujhe tajjub hai
na to usko hairat hai na mujhe tajjub hai
Sadiya Roshan Siddiqui
MORE BYSadiya Roshan Siddiqui
na to us ko hairat hai na mujhe ta.ajjub hai
merī us kī duurī meñ ḳhaas ik taqarrub hai
buad go siyāsī hai fāsla samājī hai
darmiyān meñ lekin vājibī tanāsub hai
jaan apnī jaane kā qā.eda nahīñ ma.alūm
baat jo yaqīnī hai us meñ hī tazabzub hai
kuchh balīġh logoñ meñ guftugū sī rahtī hai
go zabān-bandī hai aañkh meñ taḳhātub hai
ye dhuāñ hai bārūdī ye mahak hai gandhak kī
shahr kā nishāñ ab to be-amāñ ta.assub hai
na to us ko hairat hai na mujhe tajjub hai
meri us ki duri mein KHas ek taqarrub hai
buad go siyasi hai fasla samaji hai
darmiyan mein lekin wajibi tanasub hai
jaan apni jaane ka qaeda nahin malum
baat jo yaqini hai us mein hi tazabzub hai
kuchh baligh logon mein guftugu si rahti hai
go zaban-bandi hai aankh mein taKHatub hai
ye dhuan hai barudi ye mahak hai gandhak ki
shahr ka nishan ab to be-aman tassub hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.