na to uslub na andaz giran guzra hai
na to uslūb na andāz girāñ guzrā hai
us pe merā fan-e-parvāz girāñ guzrā hai
ye alag baat natīja jo nikaltā lekin
itnā māyūs-kun āġhāz girāñ guzrā hai
ik na ik roz to khulnī hī thī sachchā.ī magar
faash achānak jo huā raaz girāñ guzrā hai
jin meñ jur.at nahīñ uḌne kī unhīñ ko merā
honā yuuñ mā.il-e-parvāz garāñ guzrā hai
aate jaate tirā paiham yuuñ lagānā choTeñ
dil pe mere ai daġhābāz girāñ guzrā hai
na to uslub na andaz giran guzra hai
us pe mera fan-e-parwaz giran guzra hai
ye alag baat natija jo nikalta lekin
itna mayus-kun aaghaz giran guzra hai
ek na ek roz to khulni hi thi sachchai magar
fash achanak jo hua raaz giran guzra hai
jin mein jurat nahin uDne ki unhin ko mera
hona yun mail-e-parwaz garan guzra hai
aate jate tera paiham yun lagana choTen
dil pe mere ai daghabaz giran guzra hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.