na toDo zindagi rishta jahan se
na toḌo zindagī rishta jahāñ se
milegā phir koī sāthī kahāñ se
jafā.eñ hoñ ki dukh rakh lo ḳhushī se
ki behtar haiñ ye umr-e-rā.egāñ se
bahāroñ se na itnā dil lagāo
ki vahshat ho chale tum ko ḳhizāñ se
vo manzar ret ke sāhil meñ gum haiñ
yahī ummīd thī āb-e-ravāñ se
ye āñkheñ ġham se bojhal ho chalī haiñ
utar aa.e masīhā āsmāñ se
mirī ḳhāmoshiyāñ mujrim banīñ haiñ
sabab hogā adā kaise zabāñ se
na toDo zindagi rishta jahan se
milega phir koi sathi kahan se
jafaen hon ki dukh rakh lo KHushi se
ki behtar hain ye umr-e-raegan se
bahaaron se na itna dil lagao
ki wahshat ho chale tum ko KHizan se
wo manzar ret ke sahil mein gum hain
yahi ummid thi aab-e-rawan se
ye aankhen gham se bojhal ho chali hain
utar aae masiha aasman se
meri KHamoshiyan mujrim banin hain
sabab hoga ada kaise zaban se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.