na tu zamin ke liye hai na aasman ke liye
na tū zamīñ ke liye hai na āsmāñ ke liye
tirā vajūd hai ab sirf dāstāñ ke liye
palaT ke sū-e-chaman dekhne se kyā hogā
vo shāḳh hī na rahī jo thī āshiyāñ ke liye
ġharaz-parast jahāñ meñ vafā talāsh na kar
ye shai banī thī kisī dūsre jahāñ ke liye
na tu zamin ke liye hai na aasman ke liye
tera wajud hai ab sirf dastan ke liye
palaT ke su-e-chaman dekhne se kya hoga
wo shaKH hi na rahi jo thi aashiyan ke liye
gharaz-parast jahan mein wafa talash na kar
ye shai bani thi kisi dusre jahan ke liye
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 440)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.