na ulTi usne mahfil mein naqab awwal se aaKHir tak
na ulTi usne mahfil mein naqab awwal se aaKHir tak
Manohar Sahaye Anwar
MORE BYManohar Sahaye Anwar
na ulTī us ne mahfil meñ naqāb avval se āḳhir tak
rahī phir bhī tajallī-e-barq-e-tāb avval se āḳhir tak
uThātā huuñ nazar jab jānib-e-aflāk mastī meñ
to uTh jaate haiñ ye sātoñ hijāb avval se āḳhir tak
vo ā.eñge nahīñ aa.e ḳhat aa.egā nahīñ aayā
ġhalat niklī mirī tābīr-e-ḳhvāb avval se āḳhir tak
huī har baar merī bāriyoñ par bhuul saaqī ko
mujhe ḳhālī diyā jām-e-sharāb avval se āḳhir tak
gino donoñ tarah apne mazālim Thiik niklegā
shumār āḳhir se avval tak hisāb avval se āḳhir tak
jo qisse hai shigāf-e-sīna-e-ḳhud-chāk ke lab par
ba-gosh-e-chashm sun leñ āñ-janāb avval se āḳhir tak
kahīñ umr-e-ravāñ dam-bhar Thaharne ko nahīñ ruktī
rahā kartī hai ye pā dar-rikāb avval se āḳhir tak
kitāb-e-ishq paḌhnī chāhiye tujh ko bhī ai nāseh
baḌā dilchasp hai ek ek baab avval se āḳhir tak
shab-e-sard-e-zamistāñ kī tarah afsurda afsurda
guzartā hai ġharīboñ kā shabāb avval se āḳhir tak
guloñ ke darmiyāñ shor-e-fuġhāñ kartī rahī bulbul
na chauñkā ek bhī ġhaflat ma.aab avval se āḳhir tak
kināre paar kar ke sust ho jaatā hai dariyā bhī
kise rahtā hai yaksāñ iztirāb avval se āḳhir tak
bahut jhiḌkā bahut DāñTā bahut tambīh kī mujh ko
bahut pur-lutf thā un kā ḳhitāb avval se āḳhir tak
gunāhoñ hī gunāhoñ meñ kaTī hai zindagī merī
yahī maiñ ne kamā.e haiñ savāb avval se āḳhir tak
ta.ajjub hai ki maiñ jāñ-soḳhta zinda rahā kyuuñ kar
judā.ī thī jahannum kā azaab avval se āḳhir tak
ye achchhā hī huā ham kāmyāb qurb hone meñ
ba-har-sūrat rahe nā-kāmyāb avval se āḳhir tak
hayāt-afroz thī un kī javānī jin shahīdoñ ne
lagā.e na.ara-hā-e-inqalāb avval se āḳhir tak
jise be-misl andāz-e-suḳhan ho dekhnā 'anvar'
paḌhe merā kalām-e-lā-javāb avval se āḳhir tak
na ulTi us ne mahfil mein naqab awwal se aaKHir tak
rahi phir bhi tajalli-e-barq-e-tab awwal se aaKHir tak
uThata hun nazar jab jaanib-e-aflak masti mein
to uTh jate hain ye saton hijab awwal se aaKHir tak
wo aaenge nahin aae KHat aaega nahin aaya
ghalat nikli meri tabir-e-KHwab awwal se aaKHir tak
hui har bar meri bariyon par bhul saqi ko
mujhe KHali diya jam-e-sharab awwal se aaKHir tak
gino donon tarah apne mazalim Thik niklega
shumar aaKHir se awwal tak hisab awwal se aaKHir tak
jo qisse hai shigaf-e-sina-e-KHud-chaak ke lab par
ba-gosh-e-chashm sun len aan-janab awwal se aaKHir tak
kahin umr-e-rawan dam-bhar Thaharne ko nahin rukti
raha karti hai ye pa dar-rikab awwal se aaKHir tak
kitab-e-ishq paDhni chahiye tujh ko bhi ai naseh
baDa dilchasp hai ek ek bab awwal se aaKHir tak
shab-e-sard-e-zamistan ki tarah afsurda afsurda
guzarta hai gharibon ka shabab awwal se aaKHir tak
gulon ke darmiyan shor-e-fughan karti rahi bulbul
na chaunka ek bhi ghaflat maab awwal se aaKHir tak
kinare par kar ke sust ho jata hai dariya bhi
kise rahta hai yaksan iztirab awwal se aaKHir tak
bahut jhiDka bahut DanTa bahut tambih ki mujh ko
bahut pur-lutf tha un ka KHitab awwal se aaKHir tak
gunahon hi gunahon mein kaTi hai zindagi meri
yahi main ne kamae hain sawab awwal se aaKHir tak
tajjub hai ki main jaan-soKHta zinda raha kyun kar
judai thi jahannum ka azab awwal se aaKHir tak
ye achchha hi hua hum kaamyab qurb hone mein
ba-har-surat rahe na-kaamyab awwal se aaKHir tak
hayat-afroz thi un ki jawani jin shahidon ne
lagae nara-ha-e-inqalab awwal se aaKHir tak
jise be-misl andaz-e-suKHan ho dekhna 'anwar'
paDhe mera kalam-e-la-jawab awwal se aaKHir tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.