na un ko KHair se matlab hai aur na shar se gharaz
na un ko KHair se matlab hai aur na shar se gharaz
Inayat Ali Khan Inayat
MORE BYInayat Ali Khan Inayat
na un ko ḳhair se matlab hai aur na shar se ġharaz
koī jiye ki mare ranDiyoñ ko zar se ġharaz
baġhair kaam liye maiñ kabhī na mānūñgā
nahīñ hai mujh ko tumhārī hachar-machar se ġharaz
suneñ vo yā na suneñ ye bake hī jaatā hai
raqīb-e-yāva-e-go ko hai apnī Tar se ġharaz
jo haiñ amiir kushāda makāñ haiñ un ko pasand
ġharīb huuñ mujhe rahtī hai tang ghar se ġharaz
raqīb se hai sarokār mujh se matlab kyā
vo ḳhar-dimāġh haiñ un ko hai giidī ḳhar se ġharaz
vo zar bhī khīñchte haiñ zor bhī ghaTāte haiñ
sadā hai un ko 'ināyat' mire zarar se ġharaz
na un ko KHair se matlab hai aur na shar se gharaz
koi jiye ki mare ranDiyon ko zar se gharaz
baghair kaam liye main kabhi na manunga
nahin hai mujh ko tumhaari hachar-machar se gharaz
sunen wo ya na sunen ye bake hi jata hai
raqib-e-yawa-e-go ko hai apni Tar se gharaz
jo hain amir kushada makan hain un ko pasand
gharib hun mujhe rahti hai tang ghar se gharaz
raqib se hai sarokar mujh se matlab kya
wo KHar-dimagh hain un ko hai gidi KHar se gharaz
wo zar bhi khinchte hain zor bhi ghaTate hain
sada hai un ko 'inayat' mere zarar se gharaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.