na us ka batin-o-zahir badalne wala hai
na us kā batin-o-zāhir badalne vaalā hai
mafād dekh ke mehvar badalne vaalā hai
adālatoñ ke ravayyoñ pe mat qayāfa kar
ye kaun kahtā hai manzar badalne vaalā hai
falak pe chāñd sitāre haiñ saañs roke hue
libās aaj vo paikar badalne vaalā hai
jo kah diyā hai bas us par hanūz qaa.em haiñ
na vo na maiñ na samundar badalne vaalā hai
mujh ek fard meñ tāqat hai saare lashkar kī
sipah-salār to lashkar badalne vaalā hai
dhiyān do na ye hai chaal mere dushman kī
ġhalat ye soch ki 'safdar' badalne vaalā hai
na us ka batin-o-zahir badalne wala hai
mafad dekh ke mehwar badalne wala hai
adalaton ke rawayyon pe mat qayafa kar
ye kaun kahta hai manzar badalne wala hai
falak pe chand sitare hain sans roke hue
libas aaj wo paikar badalne wala hai
jo kah diya hai bas us par hanuz qaem hain
na wo na main na samundar badalne wala hai
mujh ek fard mein taqat hai sare lashkar ki
sipah-salar to lashkar badalne wala hai
dhiyan do na ye hai chaal mere dushman ki
ghalat ye soch ki 'safdar' badalne wala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.