na us ka bhed yari se na ayyari se hath aaya
na us kā bhed yaarī se na 'ayyārī se haath aayā
ḳhudā āgāh hai dil kī ḳhabardārī se haath aayā
na hoñ jin ke Thikāne hosh vo manzil ko kyā pahuñche
ki rasta haath aayā jis kī hushyārī se haath aayā
huā haq meñ hamāre kyuuñ sitamgar āsmāñ itnā
koī pūchhe ki zālim kyā sitamgārī se haath aayā
agarche māl-e-duniyā haath bhī aayā harīsoñ ke
to dekhā ham ne kis kis zillat-o-ḳhvārī se haath aayā
na kar zālim dil-āzārī jo dil manzūr hai lenā
kisī kā dil jo haath aayā to dildārī se haath aayā
agarche ḳhāksārī kīmiyā kā sahl nusḳha hai
va-lekin haath aayā jis ke dushvārī se haath aayā
huī hargiz na tere chashm ke bīmār ko sehhat
na jab tak zahr tere ḳhatt-e-zañgārī se haath aayā
koī ye vahshi-e-ram-dīda tere haath aayā thā
par ai sayyād-vash dil kī giraftārī se haath aayā
'zafar' jo do jahāñ meñ gauhar-e-maqsūd thā apnā
janāb-e-faḳhr-e-dīñ kī vo madad-gārī se haath aayā
na us ka bhed yari se na 'ayyari se hath aaya
KHuda aagah hai dil ki KHabardari se hath aaya
na hon jin ke Thikane hosh wo manzil ko kya pahunche
ki rasta hath aaya jis ki hushyari se hath aaya
hua haq mein hamare kyun sitamgar aasman itna
koi puchhe ki zalim kya sitamgari se hath aaya
agarche mal-e-duniya hath bhi aaya harison ke
to dekha hum ne kis kis zillat-o-KHwari se hath aaya
na kar zalim dil-azari jo dil manzur hai lena
kisi ka dil jo hath aaya to dildari se hath aaya
agarche KHaksari kimiya ka sahl nusKHa hai
wa-lekin hath aaya jis ke dushwari se hath aaya
hui hargiz na tere chashm ke bimar ko sehhat
na jab tak zahr tere KHatt-e-zangari se hath aaya
koi ye wahshi-e-ram-dida tere hath aaya tha
par ai sayyaad-wash dil ki giraftari se hath aaya
'zafar' jo do jahan mein gauhar-e-maqsud tha apna
janab-e-faKHr-e-din ki wo madad-gari se hath aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.