na uske dil mein dhaDakne ka yar soch abhi
na us ke dil meñ dhaḌakne kā yaar soch abhī
ki pattharoñ meñ na paidā huā hai loch abhī
sisak sisak ke guzartā hai is liye jīvan
paḌī huī hai dam-e-zindagī ko moch abhī
jo ḳhush-nasīb haiñ un kī taraf na aañkh uThā
ai bad-nasīb tū apnā badan hī noch abhī
karegā kaun mohabbat kī aarzū ki yahāñ
har ek jism se lipTe haiñ cockroach abhī
kisī ke dard kā dil meñ charāġh raushan kar
jamī haiñ zehn meñ jo nafrateñ kharoch abhī
na āñkheñ miich ke duniyā kī rahguzar pe chalo
ravāñ-davāñ hai agar zindagī kī coach abhī
zamīn-e-ishq pe utrā hai 'āftāb' sadā
so bāzuoñ meñ yahī hiddateñ daboch abhī
na us ke dil mein dhaDakne ka yar soch abhi
ki pattharon mein na paida hua hai loch abhi
sisak sisak ke guzarta hai is liye jiwan
paDi hui hai dam-e-zindagi ko moch abhi
jo KHush-nasib hain un ki taraf na aankh uTha
ai bad-nasib tu apna badan hi noch abhi
karega kaun mohabbat ki aarzu ki yahan
har ek jism se lipTe hain cockroach abhi
kisi ke dard ka dil mein charagh raushan kar
jami hain zehn mein jo nafraten kharoch abhi
na aankhen mich ke duniya ki rahguzar pe chalo
rawan-dawan hai agar zindagi ki coach abhi
zamin-e-ishq pe utra hai 'aftab' sada
so bazuon mein yahi hiddaten daboch abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.