na uski yaad jati hai na us ka gham nikalta hai
na uski yaad jati hai na us ka gham nikalta hai
Ahmad Kamal Hashmi
MORE BYAhmad Kamal Hashmi
na us kī yaad jaatī hai na us kā ġham nikaltā hai
kuchh aisī dil kī hālat hai ki merā dam nikaltā hai
uchhal kar hamsarī kī koshisheñ karte haiñ vo lekin
hamāre qad se un kā qad hamesha kam nikaltā hai
yahāñ chehre haiñ yāroñ ke magar dil dushmanoñ ke haiñ
yahāñ amrit ke pyāle se bhī aksar sam nikaltā hai
tirī chāragarī kī chārāgar hājat nahīñ ham ko
hamāre zaḳhm se hī zaḳhm kā marham nikaltā hai
badan par jitne ghaav the vo saare bhar ga.e lekin
jo dil ke zaḳhm haiñ un se lahū paiham nikaltā hai
ye missile kī duniyā hai na dangal hai na ran koī
laḌā.ī ho to ab ghar se kahāñ rustam nikaltā hai
hasīñ chehroñ kī mahfil meñ dil apnā le ke mat jaao
chamaktī dhuup meñ le kar koī shabnam nikaltā hai
na us ki yaad jati hai na us ka gham nikalta hai
kuchh aisi dil ki haalat hai ki mera dam nikalta hai
uchhal kar hamsari ki koshishen karte hain wo lekin
hamare qad se un ka qad hamesha kam nikalta hai
yahan chehre hain yaron ke magar dil dushmanon ke hain
yahan amrit ke pyale se bhi aksar sam nikalta hai
teri chaaragari ki chaaragar hajat nahin hum ko
hamare zaKHm se hi zaKHm ka marham nikalta hai
badan par jitne ghaw the wo sare bhar gae lekin
jo dil ke zaKHm hain un se lahu paiham nikalta hai
ye missile ki duniya hai na dangal hai na ran koi
laDai ho to ab ghar se kahan rustam nikalta hai
hasin chehron ki mahfil mein dil apna le ke mat jao
chamakti dhup mein le kar koi shabnam nikalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.