na usko dekha na tab-o-tawan rawana kiye
na us ko dekhā na tāb-o-tavāñ ravāna kiye
tamām-umr kaTī miTTī meñ Thikānā kiye
na us se vasl kiyā aur na hā-o-hū hī kī
zamāna guzrā koī kār-e-ārifāna kiye
diloñ ko zaḳhm diye aur azaab āñkhoñ ko
jo kaam us ne kiye saare munsifāna kiye
maiñ apne-āp ko pahchāntā nahīñ huuñ abhī
maiñ aañkh muuñd ke leTā huuñ ye bahāna kiye
ye aisā daav hai jab pheñko ulTā paḌtā hai
sameTe baiThe ho kyā ishq ko ḳhazāna kiye
ho us se vasl ke tālib bharī sabhā meñ 'tūr'
kahāñ ye hosh-o-havās aap ne ravāna kiye
na us ko dekha na tab-o-tawan rawana kiye
tamam-umr kaTi miTTi mein Thikana kiye
na us se wasl kiya aur na ha-o-hu hi ki
zamana guzra koi kar-e-arifana kiye
dilon ko zaKHm diye aur azab aankhon ko
jo kaam us ne kiye sare munsifana kiye
main apne-ap ko pahchanta nahin hun abhi
main aankh mund ke leTa hun ye bahana kiye
ye aisa daw hai jab phenko ulTa paDta hai
sameTe baiThe ho kya ishq ko KHazana kiye
ho us se wasl ke talib bhari sabha mein 'tur'
kahan ye hosh-o-hawas aap ne rawana kiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.