na wasl mein hai sukun aur na intizar mein hai
na vasl meñ hai sukūñ aur na intizār meñ hai
ajiib tarah kī afsurdagī bahār meñ hai
ta.alluqāt kashīda hue to mujh pe khulā
ki zā.iqoñ kā taġhayyur nigāh-e-yār meñ hai
maiñ kirchiyoñ kī tarah TūTtā hī rahtā huuñ
mirā vajūd abhī ranj-e-be-ḳhumār meñ hai
judā.iyoñ kī aziyyat bhī dhyān meñ rakhnā
maiñ māntā huuñ ye manzar abhī ġhubār meñ hai
ye zahr merī ragoñ meñ ravāñ hai sadiyoñ se
mire vajūd kī takmīl intishār meñ hai
'nazīr' apnī tabī.at pe jabr kartā huuñ
yahī to hai jo faqat mere iḳhtiyār meñ hai
na wasl mein hai sukun aur na intizar mein hai
ajib tarah ki afsurdagi bahaar mein hai
talluqat kashida hue to mujh pe khula
ki zaiqon ka taghayyur nigah-e-yar mein hai
main kirchiyon ki tarah TuTta hi rahta hun
mera wajud abhi ranj-e-be-KHumar mein hai
judaiyon ki aziyyat bhi dhyan mein rakhna
main manta hun ye manzar abhi ghubar mein hai
ye zahr meri ragon mein rawan hai sadiyon se
mere wajud ki takmil intishaar mein hai
'nazir' apni tabiat pe jabr karta hun
yahi to hai jo faqat mere iKHtiyar mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.