na wo hijr mein rahin talKHiyan na wo lazzaten hain visal mein
na vo hijr meñ rahīñ talḳhiyāñ na vo lazzateñ haiñ visāl meñ
na guzar tirā mire ḳhvāb meñ na maiñ gum huuñ tere ḳhayāl meñ
na tirī adā meñ vo dilkashī na mirī ġhazal meñ vo tāzgī
vo ġhubār-e-vaqt meñ dab ga.ī jo kashish thī husn-o-jamāl meñ
maiñ tirī jafā se ḳhafā nahīñ mujhe tujh se koī gila nahīñ
mujhe fikr kyā hai ma.aal kī tujhe kyā milā hai vabāl meñ
na vo āh-e-ġham na vo chashm-e-nam na vo laġhzisheñ haiñ qadam qadam
na vo kashmakash hai javāb meñ na vo valvale haiñ savāl meñ
mujhe koī fikr-e-asās hai na ḳhayāl-e-hosh-o-havās hai
dam-e-zindagī kā hirās hai na tamīz hai mah-o-sāl meñ
na wo hijr mein rahin talKHiyan na wo lazzaten hain visal mein
na guzar tera mere KHwab mein na main gum hun tere KHayal mein
na teri ada mein wo dilkashi na meri ghazal mein wo tazgi
wo ghubar-e-waqt mein dab gai jo kashish thi husn-o-jamal mein
main teri jafa se KHafa nahin mujhe tujh se koi gila nahin
mujhe fikr kya hai maal ki tujhe kya mila hai wabaal mein
na wo aah-e-gham na wo chashm-e-nam na wo laghzishen hain qadam qadam
na wo kashmakash hai jawab mein na wo walwale hain sawal mein
mujhe koi fikr-e-asas hai na KHayal-e-hosh-o-hawas hai
dam-e-zindagi ka hiras hai na tamiz hai mah-o-sal mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.