na yaad aaya na bhula na saneha mujhko
na yaad aayā na bhūlā vo sāneha mujh ko
banā gayā jo ik aisā mujassama mujh ko
ki rāste meñ khaḌā but samajh ke chhoḌ gayā
tamām umr kī yādoñ kā qāfila mujh ko
maiñ so rahī thī usī dāstāñ meñ sadiyoñ se
sulā gayā thā jahāñ merā hāfiza mujh ko
kisī qadīm kahānī kā ik charāġh huuñ maiñ
bujhā ke chhoḌ ga.ī taaq par havā mujh ko
phir uTh ke niiñd meñ jaatī thī us taraf har shab
pukārtā thā jidhar se mirā patā mujh ko
magar ye hosh na thā le ke jā rahā hai kahāñ
bikhartī TūTtī yādoñ kā silsila mujh ko
na yaad aaya na bhula wo saneha mujh ko
bana gaya jo ek aisa mujassama mujh ko
ki raste mein khaDa but samajh ke chhoD gaya
tamam umr ki yaadon ka qafila mujh ko
main so rahi thi usi dastan mein sadiyon se
sula gaya tha jahan mera hafiza mujh ko
kisi qadim kahani ka ek charagh hun main
bujha ke chhoD gai taq par hawa mujh ko
phir uTh ke nind mein jati thi us taraf har shab
pukarta tha jidhar se mera pata mujh ko
magar ye hosh na tha le ke ja raha hai kahan
bikharti TuTti yaadon ka silsila mujh ko
- Book : Goonj (Pg. 52)
- Author : Aziz Bano Darab Wafa
- Publication : Educational Book House, Aligarah (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.