na ye badla na wo badla na ye dil ka jahan badla
na ye badlā na vo badlā na ye dil kā jahāñ badlā
agar badlā yahāñ kuchh to faqat vo mehrbāñ badlā
tumheñ bhī chain kī nīñdeñ yahāñ sone nahīñ deñgī
agar ajdād kā tum ne zarā sā bhī nishāñ badlā
zamāne meñ bahut aaya taġhayyur dosto lekin
zamīñ jaisī kī taisī hai na rang-e-āsmāñ badlā
abhī tak log qaa.em haiñ unhīñ jhūTī rivāyat par
tumhārī haq-bayānī se koī āḳhir kahāñ badlā
hamesha jis ke hoñToñ par mohabbat kī rahīñ bāteñ
ḳhudā jaane ki kyoñ us kā hai andāz-e-bayāñ badlā
qadam aage baḌhātā hī rahā maiñ saḳht rāhoñ par
na himmat hī mirī TuuTī na ye azm-e-javāñ badlā
hai un ko aaj bhī 'jāzil' vafādārī pe shak lekin
na ham ne shāḳh-e-gul chhoḌī na ham ne āshiyāñ badlā
na ye badla na wo badla na ye dil ka jahan badla
agar badla yahan kuchh to faqat wo mehrban badla
tumhein bhi chain ki ninden yahan sone nahin dengi
agar ajdad ka tum ne zara sa bhi nishan badla
zamane mein bahut aaya taghayyur dosto lekin
zamin jaisi ki taisi hai na rang-e-asman badla
abhi tak log qaem hain unhin jhuTi riwayat par
tumhaari haq-bayani se koi aaKHir kahan badla
hamesha jis ke honTon par mohabbat ki rahin baaten
KHuda jaane ki kyon us ka hai andaz-e-bayan badla
qadam aage baDhata hi raha main saKHt rahon par
na himmat hi meri TuTi na ye azm-e-jawan badla
hai un ko aaj bhi 'jazil' wafadari pe shak lekin
na hum ne shaKH-e-gul chhoDi na hum ne aashiyan badla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.