na ye manzar hai chaman ka na ye ban ki KHushbu
na ye manzar hai chaman kā na ye ban kī ḳhushbū
uf vo ḳhushbū kā badan uf vo badan kī ḳhushbū
us kī āvāz meñ chāñdī ke gajar bajte hue
us ke lahje meñ gulāboñ ke dahan kī ḳhushbū
chain kaise hameñ aa.egā vo jannat hī sahī
uḌ ke pahuñchegī jahāñ ḳhāk-e-vatan kī ḳhushbū
kam junūñ-ḳhez na thī apnī jagah mauj-e-bahār
tujhe paayā to huī aur bhī sankī ḳhushbū
kūcha-dar-kūcha ye āvāra-ḳhirāmī kyā hai
baiTh sohbat meñ kisī nek-chalan kī ḳhushbū
har taraf rang pe kāġhaz ke gulāboñ kī bahār
har taraf raqs meñ pairāhan-e-fan kī ḳhushbū
maar Dālegā shab-e-ġham kā ye joban allāh
chāñdnī se mujhe aatī hai kafan kī ḳhushbū
kyoñ uḌe phirte ho va.ade kī havā meñ 'mas.ūd'
milne vaalī nahīñ us ahd-shikan kī ḳhushbū
na ye manzar hai chaman ka na ye ban ki KHushbu
uf wo KHushbu ka badan uf wo badan ki KHushbu
us ki aawaz mein chandi ke gajar bajte hue
us ke lahje mein gulabon ke dahan ki KHushbu
chain kaise hamein aaega wo jannat hi sahi
uD ke pahunchegi jahan KHak-e-watan ki KHushbu
kam junun-KHez na thi apni jagah mauj-e-bahaar
tujhe paya to hui aur bhi sanki KHushbu
kucha-dar-kucha ye aawara-KHirami kya hai
baiTh sohbat mein kisi nek-chalan ki KHushbu
har taraf rang pe kaghaz ke gulabon ki bahaar
har taraf raqs mein pairahan-e-fan ki KHushbu
mar Dalega shab-e-gham ka ye joban allah
chandni se mujhe aati hai kafan ki KHushbu
kyon uDe phirte ho wade ki hawa mein 'masud'
milne wali nahin us ahd-shikan ki KHushbu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.