na ye puchhiye mujhse kya chahti hun
na ye pūchhiye mujh se kyā chāhtī huuñ
maiñ ik bevafā se vafā chāhtī huuñ
nazar saaf aa.e na tasvīr jis meñ
maiñ vo aa.ina toḌnā chāhtī huuñ
jo tanqīd karte haiñ merī vafā par
maiñ un se subūt-e-vafā chāhtī huuñ
kahīñ saath to chhoḌ deñge na merā
maiñ ye aap se pūchhnā chāhtī huuñ
zamāne ko hai chāñd tāroñ kī ḳhvāhish
magar maiñ tirī gard-e-pā chāhtī huuñ
karam par karam kyoñ haiñ logoñ ke mujh par
maiñ is baare meñ sūchnā chāhtī huuñ
nahīñ chāhiye mujh ko duniyā kī daulat
mohabbat kī dilkash fazā chāhtī huuñ
yaqīnan 'anā' mujh ko manzil milegī
buzurgoñ se apne duā chāhtī huuñ
na ye puchhiye mujh se kya chahti hun
main ek bewafa se wafa chahti hun
nazar saf aae na taswir jis mein
main wo aaina toDna chahti hun
jo tanqid karte hain meri wafa par
main un se subut-e-wafa chahti hun
kahin sath to chhoD denge na mera
main ye aap se puchhna chahti hun
zamane ko hai chand taron ki KHwahish
magar main teri gard-e-pa chahti hun
karam par karam kyon hain logon ke mujh par
main is bare mein suchna chahti hun
nahin chahiye mujh ko duniya ki daulat
mohabbat ki dilkash faza chahti hun
yaqinan 'ana' mujh ko manzil milegi
buzurgon se apne dua chahti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.