na ye puchho guzar kar had se diwanon pe kya guzri
na ye pūchho guzar kar had se dīvānoñ pe kyā guzrī
junūñ se jā ke ye pūchho ki vīrānoñ pe kyā guzrī
manāyā jashn bhī kaisā ye bole TuuT kar sāġhar
tumhārī vahshatoñ se aaj paimānoñ pe kyā guzrī
thī gul-poshī chaman vaalo ki gul-chīnī kā pāgal-pan
tumhārī in adāoñ se gulistānoñ pe kyā guzrī
havā.eñ lauT kar aa.eñ to gum-sum haiñ batā.eñ kyā
ki pardesoñ meñ rah kar aam insānoñ pe kyā guzrī
kiyā jo faisla tum ne bahut āsāñ use samjhā
na kyoñ sochā hamāre dil ke armānoñ pe kyā guzrī
hameñ kis ne bulāyā thā tirī mahfil meñ ai duniyā
bulā kar phir nahīñ dekhā ki mehmānoñ pe kyā guzrī
tavajjoh par tumhārī 'rāg' likkhī dāstāñ ham ne
kiyā tum ne taġhāful jab to afsānoñ pe kyā guzrī
na ye puchho guzar kar had se diwanon pe kya guzri
junun se ja ke ye puchho ki viranon pe kya guzri
manaya jashn bhi kaisa ye bole TuT kar saghar
tumhaari wahshaton se aaj paimanon pe kya guzri
thi gul-poshi chaman walo ki gul-chini ka pagal-pan
tumhaari in adaon se gulistanon pe kya guzri
hawaen lauT kar aaen to gum-sum hain bataen kya
ki pardeson mein rah kar aam insanon pe kya guzri
kiya jo faisla tum ne bahut aasan use samjha
na kyon socha hamare dil ke armanon pe kya guzri
hamein kis ne bulaya tha teri mahfil mein ai duniya
bula kar phir nahin dekha ki mehmanon pe kya guzri
tawajjoh par tumhaari 'rag' likkhi dastan hum ne
kiya tum ne taghaful jab to afsanon pe kya guzri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.