na ye pūchho ki kyā yaad aa rahā hai
mohabbat meñ ḳhudā yaad aa rahā hai
ḳhalish sī phir huī paidā jigar meñ
mujhe ik bevafā yaad aa rahā hai
hadoñ se baḌh chalī tūfāñ kī tezī
mujhe ab nāḳhudā yaad aa rahā hai
dil-e-be-mudda’ā āḳhir huā kyā
ġham-e-be-mudda'ā yaad aa rahā hai
bhare the jis meñ kuchh naġhmāt-e-ḳhāmosh
vo sāz-e-be-sadā yaad aa rahā hai
diye haiñ is qadar dhoke kisī ne
fareb-e-mudda'ā yaad aa rahā hai
mohabbat haañ mohabbat kā mujhe phir
vo vaqt-e-ibtidā yaad aa rahā hai
chamakte haiñ ye kyoñ āñkhoñ meñ aañsū
koī bhūlā huā yaad aa rahā hai
vo mahrūm-e-jafā 'bahzād' vo dil
vo mahrūm-e-jafā yaad aa rahā hai
na ye puchho ki kya yaad aa raha hai
mohabbat mein KHuda yaad aa raha hai
KHalish si phir hui paida jigar mein
mujhe ek bewafa yaad aa raha hai
hadon se baDh chali tufan ki tezi
mujhe ab naKHuda yaad aa raha hai
dil-e-be-mudda’a aaKHir hua kya
gham-e-be-mudda'a yaad aa raha hai
bhare the jis mein kuchh naghmat-e-KHamosh
wo saz-e-be-sada yaad aa raha hai
diye hain is qadar dhoke kisi ne
fareb-e-mudda'a yaad aa raha hai
mohabbat han mohabbat ka mujhe phir
wo waqt-e-ibtida yaad aa raha hai
chamakte hain ye kyon aankhon mein aansu
koi bhula hua yaad aa raha hai
wo mahrum-e-jafa 'bahzad' wo dil
wo mahrum-e-jafa yaad aa raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.