na ye qarib hain duniya ke aur na din ke pas
na ye qarīb haiñ duniyā ke aur na diin ke paas
ye mere dost haiñ rahte haiñ āstīn ke paas
vo log bhī hameñ shak kī nazar se dekhte haiñ
jo ek vaqt meñ hote haiñ tiin tiin ke paas
lo ek mujh sā gunahgār aur aa pahuñchā
bahut sā kaam to pahle se thā zamīn ke paas
vo bevafā hai magar kis tarah bhulā deñ use
hamārā dil bhī to lagtā hai us kamīn ke paas
agar haiñ sīkhnā ādāb-e-zindagī tum ko
guzāro vaqt kisī boriyā-nashīn ke paas
hamārī zaat kahīñ us meñ gum na ho jaa.e
ham is liye nahīñ jaate haiñ us zahīn ke paas
ye daad aap ko lahje kī mil rahī hai miyāñ
hamāre sher pahuñchte haiñ sāma.īn ke paas
gunāhgār haiñ lekin ka.ī havāloñ se
sifārish apnī ga.ī rabb-e-ālamīn ke paas
mirī ravish se mujhe kis tarah haTānā hai
yahī to kaam hai mere muḳhālifīn ke paas
na ye qarib hain duniya ke aur na din ke pas
ye mere dost hain rahte hain aastin ke pas
wo log bhi hamein shak ki nazar se dekhte hain
jo ek waqt mein hote hain tin tin ke pas
lo ek mujh sa gunahgar aur aa pahuncha
bahut sa kaam to pahle se tha zamin ke pas
wo bewafa hai magar kis tarah bhula den use
hamara dil bhi to lagta hai us kamin ke pas
agar hain sikhna aadab-e-zindagi tum ko
guzaro waqt kisi boriya-nashin ke pas
hamari zat kahin us mein gum na ho jae
hum is liye nahin jate hain us zahin ke pas
ye dad aap ko lahje ki mil rahi hai miyan
hamare sher pahunchte hain samain ke pas
gunahgar hain lekin kai hawalon se
sifarish apni gai rabb-e-alamin ke pas
meri rawish se mujhe kis tarah haTana hai
yahi to kaam hai mere muKHalifin ke pas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.