na ye sahifon ka masala hai na ye aqidon ka masala hai
na ye sahīfoñ kā mas.ala hai na ye 'aqīdoñ kā mas.ala hai
ye mas.ala hai vahī jo karbal ke sab shahīdoñ kā mas.ala hai
ye qum kī masjid kā surḳh jhanDā hai das moharram kā hī tasalsul
isī liye to ye duniyā-bhar ke sabhī yazīdoñ kā mas.ala hai
jo chaudah sadiyoñ se har hisāb-o-kitāb par ham jhagaḌ rahe haiñ
ye diiñ ke daftar kī jārī-karda ġhalat rasīdoñ kā mas.ala hai
batā rahī hai mazār-e-murshid pe ab ye chilla-kashoñ kī mehnat
jo pahle murshid kā mas.ala thā vo ab murīdoñ kā mas.ala hai
sabhī ke muñh meñ zabāñ hai lekin kisī ke muñh meñ zabāñ nahīñ hai
ki haq-bayānī to sirf mujh se dahan-darīdoñ kā mas.ala hai
maiñ kohna-alfāz ke badan se na.e ma'ānī nikāltā huuñ
so merā uslūb shahr-e-fan ke sabhī jadīdoñ kā mas.ala hai
jo harf nāpāk haiñ unheñ vo barā.e-zar paak likh rahe haiñ
ye daur-e-hāzir ke nāqidoñ meñ ghuse palīdoñ kā mas.ala hai
vo jin kā har roz 'iid jaisā hai koī un ko batā.e 'vāsif'
ki muflisoñ ke gharoñ meñ bachchoñ kī donoñ ‘īdoñ kā mas.ala hai
na ye sahifon ka masala hai na ye 'aqidon ka masala hai
ye masala hai wahi jo karbal ke sab shahidon ka masala hai
ye qum ki masjid ka surKH jhanDa hai das moharram ka hi tasalsul
isi liye to ye duniya-bhar ke sabhi yazidon ka masala hai
jo chaudah sadiyon se har hisab-o-kitab par hum jhagaD rahe hain
ye din ke daftar ki jari-karda ghalat rasidon ka masala hai
bata rahi hai mazar-e-murshid pe ab ye chilla-kashon ki mehnat
jo pahle murshid ka masala tha wo ab muridon ka masala hai
sabhi ke munh mein zaban hai lekin kisi ke munh mein zaban nahin hai
ki haq-bayani to sirf mujh se dahan-daridon ka masala hai
main kohna-alfaz ke badan se nae ma'ani nikalta hun
so mera uslub shahr-e-fan ke sabhi jadidon ka masala hai
jo harf napak hain unhen wo barae-zar pak likh rahe hain
ye daur-e-hazir ke naqidon mein ghuse palidon ka masala hai
wo jin ka har roz 'id jaisa hai koi un ko batae 'wasif'
ki muflison ke gharon mein bachchon ki donon ‘idon ka masala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.