na ye zamin hai apni na aasman apna
na ye zamīn hai apnī na āsmāñ apnā
alag banā.eñ ham apne liye jahāñ apnā
ḳhayāl-e-shikva-e-zindāñ kise ai bād-e-chaman
nahīñ bahār se kam mausam-e-ḳhizāñ apnā
chaman kā lutf hī kyā jab ki bāl-o-par na rahe
banā liyā hai qafas hī ko āshiyāñ apnā
haiñ saḳht-jān ham un kī kalā.iyāñ nāzuk
ye imtihān hai un kā ki imtihān apnā
hai zindagī bhī yahī lutf-e-zindagī bhī yahī
ḳhudā kare ki na ho ḳhatm imtihān apnā
na ye zamin hai apni na aasman apna
alag banaen hum apne liye jahan apna
KHayal-e-shikwa-e-zindan kise ai baad-e-chaman
nahin bahaar se kam mausam-e-KHizan apna
chaman ka lutf hi kya jab ki baal-o-par na rahe
bana liya hai qafas hi ko aashiyan apna
hain saKHt-jaan hum un ki kalaiyan nazuk
ye imtihan hai un ka ki imtihan apna
hai zindagi bhi yahi lutf-e-zindagi bhi yahi
KHuda kare ki na ho KHatm imtihan apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.