na ye zamin thi jab aasman kahin nahin tha
na ye zamīn thī jab āsmāñ kahīñ nahīñ thā
faqat yaqīn thā har-sū gumāñ kahīñ nahīñ thā
lagī thī bastī meñ ġhurbat kī aag bhī kaisī
ki log jal bhī rahe the dhuāñ kahīñ nahīñ thā
mirī kitāb meñ merī hī zindagī thī magar
mirā hī naam sar-e-dāstāñ kahīñ nahīñ thā
musāfiroñ ko vahāñ kaun pūchhtā ki jahāñ
the mehmān sabhī mezbāñ kahīñ nahīñ thā
shafaq meñ bikhre hue the ġham-e-hayāt ke rang
ḳhushī kā rāh-e-talab meñ nishāñ kahīñ nahīñ thā
bas ek dasht thī hadd-e-nigāh tak duniyā
jo aarzū meñ thā vo gulsitāñ kahīñ nahīñ thā
lipaT ke royā thā vaqt-e-safar jo ham se 'hinā'
ham aa.e ghar to vahī mehrbāñ kahīñ nahīñ thā
na ye zamin thi jab aasman kahin nahin tha
faqat yaqin tha har-su guman kahin nahin tha
lagi thi basti mein ghurbat ki aag bhi kaisi
ki log jal bhi rahe the dhuan kahin nahin tha
meri kitab mein meri hi zindagi thi magar
mera hi nam sar-e-dastan kahin nahin tha
musafiron ko wahan kaun puchhta ki jahan
the mehman sabhi mezban kahin nahin tha
shafaq mein bikhre hue the gham-e-hayat ke rang
KHushi ka rah-e-talab mein nishan kahin nahin tha
bas ek dasht thi hadd-e-nigah tak duniya
jo aarzu mein tha wo gulsitan kahin nahin tha
lipaT ke roya tha waqt-e-safar jo hum se 'hina'
hum aae ghar to wahi mehrban kahin nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.