na zamin ke na aasman ke hain
na zamīñ ke na āsmān ke haiñ
ye kisī dūsre jahān ke haiñ
na hī ye dost haiñ na dushman haiñ
ye munāfiq haiñ darmiyān ke haiñ
sīna-e-rabt aur ta'alluq pe
zaḳhm jitne bhī haiñ zabān ke haiñ
jo chalā.e ga.e haiñ merī taraf
tiir ye aur kisī kamān ke haiñ
jitne bhī mas.ale haiñ duniyā meñ
mas.ale saare ān-bān ke haiñ
kyoñ ye nafrat hai ai banī-ādam
jabki ham ek ḳhāndān ke haiñ
ba.ad ḳhāliq har ek insāñ par
jo bhī ehsān haiñ kisān ke haiñ
jitne bhī baaġh haiñ jahāñ meñ 'suhail'
baaġh ye ik hī bāġhbān ke haiñ
na zamin ke na aasman ke hain
ye kisi dusre jahan ke hain
na hi ye dost hain na dushman hain
ye munafiq hain darmiyan ke hain
sina-e-rabt aur ta'alluq pe
zaKHm jitne bhi hain zaban ke hain
jo chalae gae hain meri taraf
tir ye aur kisi kaman ke hain
jitne bhi masale hain duniya mein
masale sare aan-ban ke hain
kyon ye nafrat hai ai bani-adam
jabki hum ek KHandan ke hain
baad KHaliq har ek insan par
jo bhi ehsan hain kisan ke hain
jitne bhi bagh hain jahan mein 'suhail'
bagh ye ek hi baghban ke hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.