na zamin thi hamari na hi aasman hamara
na zamīn thī hamārī na hī āsmāñ hamārā
mile aap jab huā hai ye jahāñ jahāñ hamārā
baḌe haq se mere dil pe vo hathelī rakh ke bole
ki jahāñ jahāñ se dhaḌkā ye vahāñ vahāñ hamārā
use shak thā har pal us ko ye jahāñ parakh rahā hai
isī kashmakash meñ letā rahā imtihāñ hamārā
jo zabāñ khule to rishtoñ kī lagām chhūTtī hai
jise kah diyā ho apnā vo rahā kahāñ hamārā
sabhī saath chalne vāloñ kī alag alag thī manzil
vahāñ rukte haiñ jahāñ se chalā kārvāñ hamārā
na zamin thi hamari na hi aasman hamara
mile aap jab hua hai ye jahan jahan hamara
baDe haq se mere dil pe wo hatheli rakh ke bole
ki jahan jahan se dhaDka ye wahan wahan hamara
use shak tha har pal us ko ye jahan parakh raha hai
isi kashmakash mein leta raha imtihan hamara
jo zaban khule to rishton ki lagam chhuTti hai
jise kah diya ho apna wo raha kahan hamara
sabhi sath chalne walon ki alag alag thi manzil
wahan rukte hain jahan se chala karwan hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.