na zer-e-pa zamin bandho na sar par aasman bandho
na zer-e-pā zamīñ bāñdho na sar par āsmāñ bāñdho
faqat tark-e-tamannā kī diloñ meñ dāstāñ bāñdho
latāfat phir milegī kab hasīñ rangīn shāmoñ kī
isī nuqte pe Thahrā hai yahī dilkash samāñ bāñdho
badaltī kuchh rutoñ par aas hai be-kal manāzir kī
tum apnī lazzat-e-husn-e-nazar ko darmiyāñ bāñdho
badan-bhar ik ta'alluq chuTkiyāñ lene lage shāyad
guzarte ḳhushnumā manzar kā aks-e-shādmāñ bāñdho
jahān-e-shauq kī phir ishrat-e-āvārgī le kar
machaltā dilrubā be-kal surūr-e-jāvedāñ bāñdho
bikhartī dhuul rāhoñ kī machaltī jaa.e rah rah kar
masāfat ke junūñ meñ ye ġhubār-e-kārvāñ bāñdho
latāfat chāhatoñ kī muskurātī hai fazāoñ meñ
vahī chanchal hasīñ dilkash hadīs-e-dostāñ bāñdho
nazar ke zāviyoñ se naap lo ye shauq kī duniyā
koī ummīd ahl-e-husn se kyoñ rā.egāñ bāñdho
na zer-e-pa zamin bandho na sar par aasman bandho
faqat tark-e-tamanna ki dilon mein dastan bandho
latafat phir milegi kab hasin rangin shamon ki
isi nuqte pe Thahra hai yahi dilkash saman bandho
badalti kuchh ruton par aas hai be-kal manazir ki
tum apni lazzat-e-husn-e-nazar ko darmiyan bandho
badan-bhar ek ta'alluq chuTkiyan lene lage shayad
guzarte KHushnuma manzar ka aks-e-shadman bandho
jahan-e-shauq ki phir ishrat-e-awargi le kar
machalta dilruba be-kal surur-e-jawedan bandho
bikharti dhul rahon ki machalti jae rah rah kar
masafat ke junun mein ye ghubar-e-karwan bandho
latafat chahaton ki muskuraati hai fazaon mein
wahi chanchal hasin dilkash hadis-e-dostan bandho
nazar ke zawiyon se nap lo ye shauq ki duniya
koi ummid ahl-e-husn se kyon raegan bandho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.