na zindagi se shikayat na tum se shikwa hai
na zindagī se shikāyat na tum se shikva hai
mirā libās hī mere lahū kā pyāsā hai
badan ko chhoḌ ke jā.ūñ to ab kahāñ jā.ūñ
janam janam se mirā us ke saath rishta hai
mirā vajūd mirī apnī hī nigāhoñ meñ
libās-e-jism ke hote hue bhī nañgā hai
salīb laao ise surḳh-rū kiyā jaa.e
koī kitāb liye āsmāñ se utrā hai
tumhāre jism meñ maiñ huuñ mire vajūd meñ tum
har ek aadmī ik dūsre meñ zinda hai
tum apne aap se kyoñ ajnabī se lagte ho
tumhāre jism pe 'shādāb' kis kā pahra hai
na zindagi se shikayat na tum se shikwa hai
mera libas hi mere lahu ka pyasa hai
badan ko chhoD ke jaun to ab kahan jaun
janam janam se mera us ke sath rishta hai
mera wajud meri apni hi nigahon mein
libas-e-jism ke hote hue bhi nanga hai
salib lao ise surKH-ru kiya jae
koi kitab liye aasman se utra hai
tumhaare jism mein main hun mere wajud mein tum
har ek aadmi ek dusre mein zinda hai
tum apne aap se kyon ajnabi se lagte ho
tumhaare jism pe 'shadab' kis ka pahra hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.