na-ashna-e-dil hai na-ashna-e-urdu
nā-āshnā-e-dil hai nā-āshnā-e-urdu
vo baat kyā karegā jis ko na aa.e urdu
tanhā na rah sakeñgī apne vatan meñ donoñ
urdu fidā-e-hindī hindī fidā-e-urdu
mil-jul ke donoñ bahneñ ai kaash baḌhtī jaa.eñ
himmat baḌhā.e hindī rasta dikhā.e urdu
mandir ho yā ki masjid girjā ho yā kalīsā
sab jagmagā rahe haiñ pā kar ziyā-e-urdu
'ġhālib' kī ye zamīñ hai sab par rahegī ġhālib
gūñjegī chāñd par bhī ik din sadā-e-urdu
'momin' kī dāstāñ hai 'mullā' kī tarjumāñ hai
'chakbast' kī zabāñ hai dekho navā-e-urdu
mashriq ho yā ki maġhrib ho asia ki europe
har ḳhitta-e-zamīñ par pahuñchī sadā-e-urdu
'tulsī' kī hai amānat 'ḳhusrav' kī hai virāsat
'rizvān' dekhnā tum miTne na paa.e urdu
na-ashna-e-dil hai na-ashna-e-urdu
wo baat kya karega jis ko na aae urdu
tanha na rah sakengi apne watan mein donon
urdu fida-e-hindi hindi fida-e-urdu
mil-jul ke donon bahnen ai kash baDhti jaen
himmat baDhae hindi rasta dikhae urdu
mandir ho ya ki masjid girja ho ya kalisa
sab jagmaga rahe hain pa kar ziya-e-urdu
'ghaalib' ki ye zamin hai sab par rahegi ghaalib
gunjegi chand par bhi ek din sada-e-urdu
'momin' ki dastan hai 'mulla' ki tarjuman hai
'chakbast' ki zaban hai dekho nawa-e-urdu
mashriq ho ya ki maghrib ho asia ki europe
har KHitta-e-zamin par pahunchi sada-e-urdu
'tulsi' ki hai amanat 'KHusraw' ki hai wirasat
'rizwan' dekhna tum miTne na pae urdu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.