na-ashna gar mujhse mere yar na hote
nā-āshnā gar mujh se mire yaar na hote
hālāt se ham aise to bezār na hote
is tarah mujhe aap ne chhoḌā nahīñ hotā
dāman meñ mire phuul the ye ḳhaar na hote
hote na zuleḳhā se ḳharīdār to shāyad
yūsuf ke liye misr ke bāzār na hote
kar detā agar ham pe ināyat kī nazar tū
phir terī nazar ke hī talabgār na hote
khalte na mujhe shām-o-sahar ke ye ujāle
jo jurm-e-mohabbat ke sazā-vār na hote
phir ishq meñ kartā na maiñ ehsās-e-nadāmat
tum jaise bhī hote pa jafā-kār na hote
ham ko bhī kahāñ shauq thā mai-ḳhvārī kā saaqī
gar ishq na hotā to yuuñ mai-ḳhvār na hote
har ḳhvāb kī ta.abīr hī ho jaatī mukammal
ham kaash tire ishq meñ bedār na hote
afsurda sā dariyā thā to kyā chāhte sāhil
ham vo the shanāvar jo kabhī paar na hote
hote na sadaf 'qalb' tirī aañkh ke ḳhālī
palkoñ pe agar abr-e-guhar-bār na hote
na-ashna gar mujh se mere yar na hote
haalat se hum aise to bezar na hote
is tarah mujhe aap ne chhoDa nahin hota
daman mein mere phul the ye KHar na hote
hote na zuleKHa se KHaridar to shayad
yusuf ke liye misr ke bazar na hote
kar deta agar hum pe inayat ki nazar tu
phir teri nazar ke hi talabgar na hote
khalte na mujhe sham-o-sahar ke ye ujale
jo jurm-e-mohabbat ke saza-war na hote
phir ishq mein karta na main ehsas-e-nadamat
tum jaise bhi hote pa jafa-kar na hote
hum ko bhi kahan shauq tha mai-KHwari ka saqi
gar ishq na hota to yun mai-KHwar na hote
har KHwab ki tabir hi ho jati mukammal
hum kash tere ishq mein bedar na hote
afsurda sa dariya tha to kya chahte sahil
hum wo the shanawar jo kabhi par na hote
hote na sadaf 'qalb' teri aankh ke KHali
palkon pe agar abr-e-guhar-bar na hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.