na-ahl se bhule se danai na li jae
nā-ahl se bhūle se dānā.ī na lī jaa.e
dariyā se samundar kī gahrā.ī na lī jaa.e
har pal ho sanā-ḳhvānī us rabb-e-haqīqat kī
is ālam-e-irfāñ se tanhā.ī na lī jaa.e
jis bazm meñ miltā ho insāf-e-jahāñgīrī
us bazm se phir kaise achchhā.ī na lī jaa.e
jo gulshan-e-hastī ko shādāb na kar paa.e
purvā.ī ho vo phir bhī purvā.ī na lī jaa.e
taz.īn-e-taḳhayyul to hai lāzmī fankāro
auroñ se kisī sūrat goyā.ī na lī jaa.e
jo ḳhusrav-e-hastī haiñ aksar yahī kahte haiñ
sadqe meñ kisī se bhī dārā.ī na lī jaa.e
ā.īn-e-zabāñ-bandī kyā is liye nāfiz hai
bedār na ho paa.eñ añgḌā.ī na lī jaa.e
haañ sabr-o-qanā.at kā 'maqsūd' ye matlab hai
qarze kī koī shai bhī ai bhaa.ī na lī jaa.e
na-ahl se bhule se danai na li jae
dariya se samundar ki gahrai na li jae
har pal ho sana-KHwani us rabb-e-haqiqat ki
is aalam-e-irfan se tanhai na li jae
jis bazm mein milta ho insaf-e-jahangiri
us bazm se phir kaise achchhai na li jae
jo gulshan-e-hasti ko shadab na kar pae
purwai ho wo phir bhi purwai na li jae
tazin-e-taKHayyul to hai lazmi fankaro
auron se kisi surat goyai na li jae
jo KHusraw-e-hasti hain aksar yahi kahte hain
sadqe mein kisi se bhi darai na li jae
aain-e-zaban-bandi kya is liye nafiz hai
bedar na ho paen angDai na li jae
han sabr-o-qanaat ka 'maqsud' ye matlab hai
qarze ki koi shai bhi ai bhai na li jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.