na-mukammal hain abhi takmila-e-zat karen
nā-mukammal haiñ abhī takmila-e-zāt kareñ
in ko dekheñ to ḳhud apne se mulāqāt kareñ
aap aa.eñ to zarā aap se kuchh baat kareñ
hoñT sī leñ magar āñkhoñ se savālāt kareñ
gardishoñ se ye kaho ruḳh na kareñ ghar kī taraf
ab vo ham se sar-e-mai-ḳhāna mulāqāt kareñ
aap ke baare meñ sochā to bahut thā lekin
ab ham is soch meñ haiñ aap se kyā baat kareñ
ruḳh pe kyā rañg hai kaisī hai in āñkhoñ kī fazā
dil jo Thahre to kuchh andāza-e-hālāt kareñ
ghar kī tanhā.ī se kyoñ itne pareshāñ ho 'ziyā'
aao ik but ke havāle se basar raat kareñ
na-mukammal hain abhi takmila-e-zat karen
in ko dekhen to KHud apne se mulaqat karen
aap aaen to zara aap se kuchh baat karen
honT si len magar aankhon se sawalat karen
gardishon se ye kaho ruKH na karen ghar ki taraf
ab wo hum se sar-e-mai-KHana mulaqat karen
aap ke bare mein socha to bahut tha lekin
ab hum is soch mein hain aap se kya baat karen
ruKH pe kya rang hai kaisi hai in aankhon ki faza
dil jo Thahre to kuchh andaza-e-haalat karen
ghar ki tanhai se kyon itne pareshan ho 'ziya'
aao ek but ke hawale se basar raat karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.