na-muradi hi likhi thi so wo puri ho gai
nā-murādī hī likhī thī so vo puurī ho ga.ī
zindagī jal kar bujhī aur raakh jaisī ho ga.ī
log kyā samjheñ ki ġham se shakl kaisī ho ga.ī
aa.ina TuuTā to qīmat aur duunī ho ga.ī
rafta rafta dūriyoñ se aañch dhīmī ho ga.ī
lekin ik tasvīr thī dil meñ jo gahrī ho ga.ī
do nigāhoñ kā tasādum chand lamhoñ kā savāl
aur rusvā.ī jahāñ meñ umr-bhar kī ho ga.ī
yaad se terī hue pur-nūr apne roz-o-shab
dil kī ra.anā.ī baḌhī aur raat ujlī ho ga.ī
soz-e-dil ne rafta rafta raakh ham ko kar diyā
ham ye samjhe the ki shāyad aag ThanDī ho ga.ī
kitne jauhar kar diye paidā ma.āl-e-ishq ne
dil meñ kaisā soz kaisī dard-mandī ho ga.ī
'vajd' ham ab tak na samjhe ramz-e-takmīl-e-vafā
dam ghuTā rātoñ ko aksar jaan aadhī ho ga.ī
na-muradi hi likhi thi so wo puri ho gai
zindagi jal kar bujhi aur rakh jaisi ho gai
log kya samjhen ki gham se shakl kaisi ho gai
aaina TuTa to qimat aur duni ho gai
rafta rafta duriyon se aanch dhimi ho gai
lekin ek taswir thi dil mein jo gahri ho gai
do nigahon ka tasadum chand lamhon ka sawal
aur ruswai jahan mein umr-bhar ki ho gai
yaad se teri hue pur-nur apne roz-o-shab
dil ki ranai baDhi aur raat ujli ho gai
soz-e-dil ne rafta rafta rakh hum ko kar diya
hum ye samjhe the ki shayad aag ThanDi ho gai
kitne jauhar kar diye paida maal-e-ishq ne
dil mein kaisa soz kaisi dard-mandi ho gai
'wajd' hum ab tak na samjhe ramz-e-takmil-e-wafa
dam ghuTa raaton ko aksar jaan aadhi ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.