na-rasai hai ki tu hai kya hai
nā-rasā.ī hai ki tū hai kyā hai
yaad kar ke jise jī Duubā hai
ai ġham-e-jāñ tire ġham-ḳhvāroñ kā
sabr ab had se sivā pahuñchā hai
ā.īna thā ki mirā paikar thā
terī bātoñ se abhī bikhrā hai
aañkh kis lafz pe bhar aa.ī hai
kaun sī baat pe dil TuuTā hai
mire hāthoñ kī lakīroñ meñ koī
zindagī ban ke chhupā baiThā hai
āsmāñ jhāñk rahā hai 'ḳhālid'
chāñd kamre meñ mire utrā hai
na-rasai hai ki tu hai kya hai
yaad kar ke jise ji Duba hai
ai gham-e-jaan tere gham-KHwaron ka
sabr ab had se siwa pahuncha hai
aaina tha ki mera paikar tha
teri baaton se abhi bikhra hai
aankh kis lafz pe bhar aai hai
kaun si baat pe dil TuTa hai
mere hathon ki lakiron mein koi
zindagi ban ke chhupa baiTha hai
aasman jhank raha hai 'KHalid'
chand kamre mein mere utra hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.