na-rasai ki hansi KHud hi uDate kyon ho
nā-rasā.ī kī hañsī ḳhud hī uḌāte kyoñ ho
haath ḳhālī hai to bāzār meñ aate kyoñ ho
ab bhī chāho to jamī barf pighal saktī hai
iḳhtilāfāt ko buniyād banāte kyoñ ho
vo samajhne pe hī āmāda nahīñ hai to use
apne ehsās kā ā.īna dikhāte kyoñ ho
kal taras jāoge āñkhoñ kī shanāsā.ī ko
ḳhud ko lafzoñ ke libāde meñ chhupāte kyoñ ho
āfiyat ab to isī meñ hai ki patthar ban jaao
sog TuuTe hue rishtoñ kā manāte kyoñ ho
vo gul-e-tāza kisī ghar kī hai zīnat 'armān'
us kī ḳhushbū se ḳhayāloñ ko basāte kyoñ ho
na-rasai ki hansi KHud hi uDate kyon ho
hath KHali hai to bazar mein aate kyon ho
ab bhi chaho to jami barf pighal sakti hai
iKHtilafat ko buniyaad banate kyon ho
wo samajhne pe hi aamada nahin hai to use
apne ehsas ka aaina dikhate kyon ho
kal taras jaoge aankhon ki shanasai ko
KHud ko lafzon ke libaade mein chhupate kyon ho
aafiyat ab to isi mein hai ki patthar ban jao
sog TuTe hue rishton ka manate kyon ho
wo gul-e-taza kisi ghar ki hai zinat 'arman'
us ki KHushbu se KHayalon ko basate kyon ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.