na’t kahte hue imkan mein aa jate hain
na’t kahte hue imkan mein aa jate hain
Mukarram Husain Awan Zamzam
MORE BYMukarram Husain Awan Zamzam
naa’t kahte hue imkān meñ aa jaate haiñ
lafz-e-takvīn se vijdān meñ aa jaate haiñ
vahāñ par mansab-e-yārī ke ma'ānī kyā haiñ
jahāñ jibrīl se darbān meñ aa jaate haiñ
jo mohammad kī ġhulāmī kā pahan lete haiñ tauq
saf-e-haivān se insān meñ aa jaate haiñ
rahmat-e-munsif-e-akbar bhī dikhātī hai fusūñ
jab mavaddat-kade mīzān meñ aa jaate haiñ
jo mavaddat meñ dikhāte haiñ vafā-e-salmān
dar-o-dahlīz se dīvān meñ aa jaate haiñ
na’t kahte hue imkan mein aa jate hain
lafz-e-takwin se wijdan mein aa jate hain
wahan par mansab-e-yari ke ma'ani kya hain
jahan jibril se darban mein aa jate hain
jo mohammad ki ghulami ka pahan lete hain tauq
saf-e-haiwan se insan mein aa jate hain
rahmat-e-munsif-e-akbar bhi dikhati hai fusun
jab mawaddat-kade mizan mein aa jate hain
jo mawaddat mein dikhate hain wafa-e-salman
dar-o-dahliz se diwan mein aa jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.