na-umidi ki baat mat karna
nā-umīdī kī baat mat karnā
zaa.e.a apnī hayāt mat karnā
ġhairat-e-dil kā ye taqāzā hai
din ko taslīm raat mat karnā
kaise kah doge zehn-e-ādam se
fikr-e-kul-kā.enāt mat karnā
chāñdnī meñ nahā.e phūloñ ko
nazr-e-tārīk raat mat karnā
dasht mere junūñ ko kahtā hai
merī vus.at ko maat mat karnā
ek muddat ke baad soyā huuñ
zor se koī baat mat karnā
be-zamīroñ kī zaat meñ shāmil
'nāz' tū apnī zaat mat karnā
na-umidi ki baat mat karna
zaea apni hayat mat karna
ghairat-e-dil ka ye taqaza hai
din ko taslim raat mat karna
kaise kah doge zehn-e-adam se
fikr-e-kul-kaenat mat karna
chandni mein nahae phulon ko
nazr-e-tarik raat mat karna
dasht mere junun ko kahta hai
meri wusat ko mat mat karna
ek muddat ke baad soya hun
zor se koi baat mat karna
be-zamiron ki zat mein shamil
'naz' tu apni zat mat karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.