na-umidi ne lahu dil ka baha rakkha hai
na-umidi ne lahu dil ka baha rakkha hai
Syed Abdus Sattar Mufti
MORE BYSyed Abdus Sattar Mufti
nā-umīdī ne lahū dil kā bahā rakkhā hai
ab mire dāman-e-ehsās meñ kyā rakkhā hai
rāh-e-pur-nūr ke bhaTke hue kuchh tāroñ ne
saare māhaul ko tārīk banā rakkhā hai
mere nazdīk qayāmat ke sivā kuchh bhī nahīñ
tū ne jo ziist kā mafhūm batā rakkhā hai
terī ma.asūm umangoñ ko baḌī muddat se
merī āñkhoñ ne gunahgār banā rakkhā hai
terī rahmat ke sahāroñ ne ḳhudāvand-e-karīm
ġharq hone se safīne ko bachā rakkhā hai
phir bhī ik jashn-e-tarab dil meñ rachā letā huuñ
go mujhe gardish-e-daurāñ ne satā rakkhā hai
merī ġhurbat ne mire fan kā uḌāyā hai mazāq
terī daulat ne tirā aib chhupā rakkhā hai
maiñ ne dekhā hai isī baat ke parde meñ sukūt
tū ne jis baat pe kohrām machā rakkhā hai
kaise phir ho na nigāhoñ meñ muravvat kī jhalak
dil jo iḳhlās kī kirnoñ se sajā rakkhā hai
apnī taqdīs pe yuuñ shaiḳh-e-haram mat itrā
maiñ ne bhī parcham-e-tauhīd uThā rakkhā hai
na-umidi ne lahu dil ka baha rakkha hai
ab mere daman-e-ehsas mein kya rakkha hai
rah-e-pur-nur ke bhaTke hue kuchh taron ne
sare mahaul ko tarik bana rakkha hai
mere nazdik qayamat ke siwa kuchh bhi nahin
tu ne jo zist ka mafhum bata rakkha hai
teri masum umangon ko baDi muddat se
meri aankhon ne gunahgar bana rakkha hai
teri rahmat ke sahaaron ne KHudawand-e-karim
gharq hone se safine ko bacha rakkha hai
phir bhi ek jashn-e-tarab dil mein racha leta hun
go mujhe gardish-e-dauran ne sata rakkha hai
meri ghurbat ne mere fan ka uDaya hai mazaq
teri daulat ne tera aib chhupa rakkha hai
main ne dekha hai isi baat ke parde mein sukut
tu ne jis baat pe kohram macha rakkha hai
kaise phir ho na nigahon mein murawwat ki jhalak
dil jo iKHlas ki kirnon se saja rakkha hai
apni taqdis pe yun shaiKH-e-haram mat itra
main ne bhi parcham-e-tauhid uTha rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.