na-umidi ne yun sataya tha
nā-umīdī ne yuuñ satāyā thā
maiñ ne ḳhud hī diyā bujhāyā thā
ek bastī huī vahīñ ābād
tum ne ḳhema jahāñ lagāyā thā
kuchh hunar kī kamī thī qātil meñ
kuchh buzurgoñ kā mujh pe saayā thā
mujh ko dād-e-vafā milī us se
jis ne apnā bhī ghar luTāyā thā
ab huuñ qaidī usī parī kā 'na.īm'
jis ne har qaid se chhuḌāyā thā
na-umidi ne yun sataya tha
main ne KHud hi diya bujhaya tha
ek basti hui wahin aabaad
tum ne KHema jahan lagaya tha
kuchh hunar ki kami thi qatil mein
kuchh buzurgon ka mujh pe saya tha
mujh ko dad-e-wafa mili us se
jis ne apna bhi ghar luTaya tha
ab hun qaidi usi pari ka 'naim'
jis ne har qaid se chhuDaya tha
- Book : Kulliyat-e-Hasan Naim (Pg. 262)
- Author : Ahmad Kafeel
- Publication : Qaumi Council Baraye Farogh-e-urdu Zaban (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.