na yun bhi jhankiye sarkar ek samundar hai
na yun bhi jhankiye sarkar ek samundar hai
Hashim Raza Jalalpuri
MORE BYHashim Raza Jalalpuri
nā yuuñ bhī jhāñkiye sarkār ik samundar hai
ki merī āñkhoñ ke us paar ik samundar hai
hamārī tishna-dahānī bujhī hai ḳhanjar se
vo aur haiñ jinheñ darkār ik samundar hai
safīna-hā-e-mohabbat ko ġharq kar degī
ye jo hai biich meñ dīvār ik samundar hai
tum aao lauT ke tum ko gale lagā lūñgā
ki merā dil bhī mire yaar ik samundar hai
nizām-e-shahar-e-bahārāñ hai kis ke hāthoñ meñ
jahāñ bhī dekhiye ḳhūñ-bār ik samundar hai
ġhazal sunā.ī jo sarvat ko maiñ ne ai 'hāshim'
vo bole sun ke suḳhan-kār ik samundar hai
na yun bhi jhankiye sarkar ek samundar hai
ki meri aankhon ke us par ek samundar hai
hamari tishna-dahani bujhi hai KHanjar se
wo aur hain jinhen darkar ek samundar hai
safina-ha-e-mohabbat ko gharq kar degi
ye jo hai bich mein diwar ek samundar hai
tum aao lauT ke tum ko gale laga lunga
ki mera dil bhi mere yar ek samundar hai
nizam-e-shahar-e-bahaaran hai kis ke hathon mein
jahan bhi dekhiye KHun-bar ek samundar hai
ghazal sunai jo sarwat ko main ne ai 'hashim'
wo bole sun ke suKHan-kar ek samundar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.